Schedule : Monday to Friday - 9:00 am to 7:00 pm, Saturday - 9:00 am to 6:00 pm, Sunday -

Autism Kya Hota Hai

29

Jan

Autism Kya Hota Hai

Category : Autism / by

Autism Ek brain ka neurodevelopment disorder Hai jisse bacche ke Vikas ke upar Fark padta hai . Autism  Mein bachcha apne aap Mein vilin ho jata hai, apne aap.mai kho jata hai wo bol nahi pata, wo eye contact nahi deta, wo apni jaroorat ko bta nahi pata, aur uski samajik, emotional , aur bache ki bolna kae vikas ki shamtaon mai problem aati hai.

Aise bacho mai Hyperactivity hoti hai wo ek jagah tik kar nahi baithte, wo eye contact nahi dete, unka brain senses ( indriyon)  sae  information ektrit karke kae uska sahi matlab nahi nikal pata jismae learning , sensory aur behaviour  issues aate hai.

Autism Mai Bachae ko joint attention nahi hote Jissae Bacha apne joy or experience ko Kissi sae share nahi Kar Pata. Jaise agar aasman Mai ek hwaijahaj ko dekhana fir apne parent ki Tara Dekhna aur us experience ki khushi ko share karna.

 

Brain ki neuronal plasticity 0 to 6 years tak but Jada hoti Hai. 19 to 30 months ka samay brain ki development ka mahatvpurn samay hota Hai, us samay Mai cortex Mai bhut sare simple connections bante Hai bhut sare synapses jo dhere dhere complex ho Jate hai, bhut sare new circuits bante hai jo ki alag alag tarh kae brain kae functions Mai help Karte hai. Islai agar uski therapy is samay Mai karwai jai to aane wale therapy results Mai ek mahatvpoorn vikas ki Jaa sakte hai. Agar in bacho ko early intervention di jai toh bache ka vikas teji sae ho sakta hai.

Occupational therapy aur sensory integration therapy sae bache ki senses , behaviour aur Sikhane ki shamtaon ka vikas ho jata. Sensory integration therapy bache ki alert karegi aur uski samjhna aur bolnae ki shamtaon ko bhi badhati hai.

Speech therapy sae bache bolna sikhta hai aur special education sae behaviour aur padhne ki shamtaen Badh jati hai. brain ka 90 pratishat vikas bache ki 5 year ki umar tak ho jata hai, isliae bacho ko early intervention denies chahiae taki bache ka vikas ho sake. Autism kae bache special education aur shadow teaching ki madad sae unko regular school mai mainstream ki ja sakta hai
Agar in bacho ko social skills ki training de jaye toh yae society mai achae sae integrate ho sakte hai. Autism kar bacho mai behaviour/ vyawahar mai samasyaen hoti hai, agar parents kae sahyog kae sath un par behaviour intervention ki jaye toh unkae behaviour ko modify kia ja sakta hai.
Autism kae bacho ko sensory integration therapy, occupational therapy oral placement therapy speech therapy language therapy behaviour intervention aur special education sae unko improve karke bhut acha kia ja sakta hai
Share This :

Add your Comment